Typing Work bina investment ke - How to earn money Online 2022 | Waseem Shaikh

Free Online Typing Work in 2022

Hello doston sawagat hai apka mere naye blog pe aasha karta hun ki aap theek honge. Kaafi dino baad Mai apna naya blog post laa rha asal mein mere graduation ke exams chal rhe the to Mai usme busy tha. 

To jyda baat cheet naa karte huye apne mudde pe aata hun . So aaj mai apko best ways to earn money online free 2022 mein kaise kamaye btaunga. 
Ye bhut hi simple work hai apko bas typing karna h aapko do chaar task diye jayenge wo aapko complete karna hai.

Aaj mai aapko ek aisi site batane ja rha hu jisse aap 100% paise kama sakte hain ...us site ka name hai workzly.in . Is site se aap ghar baithe baithe without investment aap paise kama sakte hain ... Bs chaiye apko ek internet connection aur ek mobile.

Is site pe aap typing se, audio transcribing , job description likhkar, resume writing, content writing , online survey karke aap paise kama sakte hain .

Types of works in workzly 

1. Online typing
2. Audio transcribing
3. Content writing
4. Job description
5. Ad posting jobs
6. Online survey 
7. Product Description


To aapko isme jyda kuch karne ki jroort nahi hai aapko apna work submit karne se pehle practice karna pdega jisme aapki accuracy aur speed dekhi jayegi. Uske baad apki accuracy aur speed ko dekhkar aapko kaam milega.


#Workzly par Account banana 

  • To sabse pehle agar apka ispe account nahi hai to account bana lijiye 
  • Sign up karne ke liye do option hai ya to aap google se sign up kriye yaa to apna email id name dalke sign up kariye . ( Name aapko whi dalna hai jo government documents meim hoga nahi to baad mein withdraw krne ke liye kyc mein problem hogi )
  • Jaise hi aap email id se sign up karte hain account activate karne ke liye aapko ek email pe confirmation link ayegi aapko usko confirm kar lena hai.
  • Google account se bhi same tareeke se sign up karna hai usmein aur simple hai apko google sign up ka feature ayega uspe click karke aap sign up kar sakte hain.

  • Uske baad apke mobile pe workzly ka website open ho jayega right side mein aap jab three lines pe jayenge to apko apke account se related information dikhengi jaise ki -
    • Dashboard (ye workzly ka first site hoga jab aap website pe entry lenge )

    • Edit Profile ( agar apko apna koi details edit karna hai to aap edit profile pe jaake edit kar sakte )
    • Transaction( isme aapke transaction dikhenge yahi se aap withdraw kar sakte hain
    • password change(agar aap apna password bhool ya change karna chahte hain to aap is option pe jayein )
    • delete account(agar apko apna account delete karna hai to uske liye ye option hai )
    • sign out(log out karne ke liye ye option)

Ab aate hain hamey kaam kaise milega .

  • Aap apni workzly dashboard pe jaiye aur neeche scroll kariye thoda neeche scroll karne ke baad aapko online typing jobs milega.

#Usmein 3 type ke honge - beginner, intermediate, advanced .

  • Beginner -

Practice Test - 5

Based on Accuracy - ₹5.00

Words 20 

  • Intermediate -

Practice Test - 5

Based on Accuracy - ₹7.00

Words 25 

  • Advance 

Practice Test - 5 

Based on Accuracy - ₹10.00

Words - 30


Aise karke accuracy aur words ke basis pe aapko alg alg amount milega. Aagar apko inme se koi kaam karna hai to aap take qualification test ke tap/click kariye .
Uske baad apko 5 practice set diye jayenge usko aap pehle poora kariye .
  • Aapko jo 5 set milte Hain aap usko type karke save karte jaiye .. fir jaise hi aap 5 set poora krenge aapko aapke practice ka result dikhayega ki aap eligible hai ya nahi . Agar aap eligible honge to aapko start job ka option ayega green color ke button mein likha hoga start job .
  • Fir aap apna job start kar sakte hain usme apko teen set milenge . Starting mein jo aapko likhe the ki kitne rupaye milenge uska teen hisse mein aapko ye teen set ka poora karne pe milega. Jaise ki agar ₹10 hoga to aap jab ek set poora krenge to ₹3.33 apko milenga jo ki teen karne ke apka ₹10 ho jayega..

Aise hi har job mein aapko karna hai .

Aur paisa withdraw/nikalne ke liye aap sabse upr 3 lines pe jaiye waha pe transaction pe jaiye aur waha se aap iske paise ko withdraw kar sakte hain.
Note - withdraw tb tak nahi kar sakte jab tk ₹3000 na ho jayee . 
Aur apko pehle kyc complete karani hogi tbhi aap withdraw kar sakte hain 



Post a Comment

Previous Post Next Post